May 28, 2010

Tera mera rishta puraana

Tera yakeen kyun maine kiya nahi?
Tujhse raha kyun judaa?
Mujh pe yeh zindagi karti rahi sitam
Tu ne hi di hai panah
Tera mera rishta puraana

Hai kya tadap hai, hai yeh kaisi sazaa?
Tu kyun mujhe aaj yaad aa gaya?
Bechain din mere, bechain raat hai…
Kya main karu kuchh bata… 
Hain mere paaon hi khud meri bediyaan.
Mujhse mujhe tu chooda.
Tera mera rishta puraana

Kya mujh mein hai shaks woh keh raha
Aa ab main du karz tera chuka…
Aankhein hain nam meri, saasein chubhan meri…
Zakhm hua phir hara
Dil ke viraane mein.
Mere phasaane mein
Tu hi to har dum raha.
Tera mera rishta puraana

No comments:

Post a Comment